Ghubar-e-rah-e-tilism-e-zamana Ho Gae Hain

ghubar-e-rah-e-tilism-e-zamana ho gae hain

hum aaise log bhi aaKHir fasana ho gae hain

rahe hain raunaq-e-sad-astan wo log ki aaj

ye chand tinke jinhen aashiyana ho gae hain

jo misl-e-abr-e-bahaaran hain dusron ke liye

wo log apne liye taziyana ho gae hain

jahan pe aae the ek roz tumtaraq ke sath

ba-hasrat aaj wahan se rawana ho gae hain

to kya hui wo tamanna ki daulat-e-bedar

ki sare shauq hi rasm-e-shabana ho gae hain

wo log jin ka talabgar ek zamana tha

kisi ki sada-dili ka nishana ho gae hain

kisi ki chashm-e-taghayyur ko jin se nisbat hai

main KHush hua ki wo gham jawedana ho gae hain

ab is qadar nahin KHali hamara daman bhi

gunah hum se bhi kuchh faKHirana ho gae hain

wo aur shai hai ki jis ne ghula diya mujh ko

ki ye awariz-e-jaan to bahana ho gae hain

(490) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghubar-e-rah-e-tilism-e-zamana Ho Gae Hain In English By Famous Poet Mubeen Mirza. Ghubar-e-rah-e-tilism-e-zamana Ho Gae Hain is written by Mubeen Mirza. Read famous Poem Ghubar-e-rah-e-tilism-e-zamana Ho Gae Hain for youth and Student by Mubeen Mirza. Free Download Ghubar-e-rah-e-tilism-e-zamana Ho Gae Hain in PDF.