Jala Diya Hai Ki Isne Bujha Diya Hai Mujhe

jala diya hai ki is ne bujha diya hai mujhe

pa dil ki aag ne kandan bana diya hai mujhe

teri talab ki ata hai ki jis ne misl-e-charagh

hawa-e-dahr mein jalna sikha diya hai mujhe

main sab se dur faqat apne aap mein gum tha

kisi ke qurb ne sab se mila diya hai mujhe

main ek zarra-e-nachiz kaenat mein tha

ye kaenat sa kis ne bana diya hai mujhe

so ab main ohda-e-duniya se kya gharaz rakhun

kisi ne mansab-e-dil par biTha diya hai mujhe

tamam umr jo rakkhega zist ko raushan

teri nazar ne wo manzar dikha diya hai mujhe

main ek dasht tha KHud apne hi sarab mein gum

bas ek mauj ne dariya bana diya hai mujhe

(991) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jala Diya Hai Ki Isne Bujha Diya Hai Mujhe In English By Famous Poet Mubeen Mirza. Jala Diya Hai Ki Isne Bujha Diya Hai Mujhe is written by Mubeen Mirza. Read famous Poem Jala Diya Hai Ki Isne Bujha Diya Hai Mujhe for youth and Student by Mubeen Mirza. Free Download Jala Diya Hai Ki Isne Bujha Diya Hai Mujhe in PDF.