Kabhi KHuda Kabhi KHud Se Sawal Karte Hue

kabhi KHuda kabhi KHud se sawal karte hue

main ji raha hun musalsal malal karte hue

magan tha kar-e-mohabbat mein is tarah ki mujhe

KHabar na ho saki apna ye haal karte hue

kise bataun guzara hai main ne bhi ek daur

misal hote hue aur misal karte hue

wo jazb-o-shauq hi aaKHir azab-e-jaan Thahra

haram ho gaya jina halal karte hue

na koi ranj un aankhon mein tha dam-e-ruKHsat

na thi zaban mein luknat sawal karte hue

ye kaam us ke liye jaise masala hi na tha

wo pur-sukun tha kar-e-muhaal karte hue

tamam umr jo lau den mujhe rakhen aabaad

gaya wo aise ghamon se nihaal karte hue

(668) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi KHuda Kabhi KHud Se Sawal Karte Hue In English By Famous Poet Mubeen Mirza. Kabhi KHuda Kabhi KHud Se Sawal Karte Hue is written by Mubeen Mirza. Read famous Poem Kabhi KHuda Kabhi KHud Se Sawal Karte Hue for youth and Student by Mubeen Mirza. Free Download Kabhi KHuda Kabhi KHud Se Sawal Karte Hue in PDF.