Main Din Bhar Pahle Is Duniya Ki Jaulani Mein Rahta Hun

main din bhar pahle is duniya ki jaulani mein rahta hun

magar phir raat bhar dil ki bayabani mein rahta hun

yahan logon ke dil aur chehre har lahza badalte hain

mujhe lagta hai main ek dasht-e-imkani mein rahta hun

mujhe kuchh fikr-e-farda hai na koi haal ki uljhan

ki main to guzre waqton ki pareshani mein rahta hun

jo ab tak kar nahin paya KHalish jaan-soz hai us ki

jo kar baiTha hun ab us ki pashemani mein rahta hun

mujhe har rose ye duniya nai surat mein milti hai

main paiham is shanasai ki hairani mein rahta hun

(569) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Din Bhar Pahle Is Duniya Ki Jaulani Mein Rahta Hun In English By Famous Poet Mubeen Mirza. Main Din Bhar Pahle Is Duniya Ki Jaulani Mein Rahta Hun is written by Mubeen Mirza. Read famous Poem Main Din Bhar Pahle Is Duniya Ki Jaulani Mein Rahta Hun for youth and Student by Mubeen Mirza. Free Download Main Din Bhar Pahle Is Duniya Ki Jaulani Mein Rahta Hun in PDF.