Kuchh Dard Jagae Rakhte Hain Kuchh KHwab Sajae Rakhte Hain

kuchh dard jagae rakhte hain kuchh KHwab sajae rakhte hain

is dil ke sahaare jiwan mein hum baat banae rakhte hain

aise bhi marahil aate hain is manzil-e-ishq ki rahon mein

jab ashk bahate hain KHud bhi us ko bhi rulae rakhte hain

kya us se kahen aur kaise kahen un rang badalti aankhon se

kya shauq umaDte hain dil mein kya wahm satae rakhte hain

ek baat pe aa kar aaj hamein iqrar ye us se karna paDa

kab yaad nahin karte us ko kab us ko bhulae rakhte hain

sad-rang nazare the jis mein wo dil ka chaman kya tum se kahen

kyun us ko ujaD ke baiThe hain kyun KHak uDae rakhte hain

muhtaj nahin hai kisht-e-jaan mausam ke badalte dhaaron ki

kuchh dagh to dil mein be-mausam sau phul khilae rakhte hain

aashiq bhi nahin sadhu bhi nahin phir raaz hai kya ye 'mirza'-ji

kis aanch se dahka hai sina kya aag jalae rakhte hain

(607) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Dard Jagae Rakhte Hain Kuchh KHwab Sajae Rakhte Hain In English By Famous Poet Mubeen Mirza. Kuchh Dard Jagae Rakhte Hain Kuchh KHwab Sajae Rakhte Hain is written by Mubeen Mirza. Read famous Poem Kuchh Dard Jagae Rakhte Hain Kuchh KHwab Sajae Rakhte Hain for youth and Student by Mubeen Mirza. Free Download Kuchh Dard Jagae Rakhte Hain Kuchh KHwab Sajae Rakhte Hain in PDF.