Na Aah Karte Hue Aur Na Wah Karte Hue

na aah karte hue aur na wah karte hue

jiyenge zabt ko apni panah karte hue

wo ek rang jo chhalkega us ki aankhon se

wo jit lega mujhe ek nigah karte hue

badal bhi sakti hai duniya ye jaanta hun magar

main haar jaunga us se nibah karte hue

main sab hisab rakhunga safediyon se pare

ab apni fard-e-amal ko siyah karte hue

tere baghair mujhe zindagi na ras aai

so ji raha hun main KHud ko tabah karte hue

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Aah Karte Hue Aur Na Wah Karte Hue In English By Famous Poet Mubeen Mirza. Na Aah Karte Hue Aur Na Wah Karte Hue is written by Mubeen Mirza. Read famous Poem Na Aah Karte Hue Aur Na Wah Karte Hue for youth and Student by Mubeen Mirza. Free Download Na Aah Karte Hue Aur Na Wah Karte Hue in PDF.