Qarine Zist Mein The SoKHta-jaani Se Pahle

qarine zist mein the soKHta-jaani se pahle

bahut aabaad the hum KHana-virani se pahle

badalte mausamon ke sath gham bhi aae lekin

ghamon ki shan alag thi is farawani se pahle

inhi KHush-zauq logon mein bahut charche rahe hain

hamari KHush-libasi ke bhi uryani se pahle

jo yar-e-mehrban nalan hai ab meri talab se

use shikwa tha meri tang-damani se pahle

baDa zirak bahut dana tujhe hum jaante the

dil-e-nadan teri is hashr-samani se pahle

ye parda hai kisi shai ka wagarna hum ne yaro

baDe tufan uThae hain tan-asani se pahle

yahan ek bagh tha jis mein chahakte the parinde

yahin is qarya-e-jaan ki bayabani se pahle

ye mahjubi ye KHamoshi hamesha se nahin hai

lab-e-goya the hum bhi apni hairani se pahle

(518) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qarine Zist Mein The SoKHta-jaani Se Pahle In English By Famous Poet Mubeen Mirza. Qarine Zist Mein The SoKHta-jaani Se Pahle is written by Mubeen Mirza. Read famous Poem Qarine Zist Mein The SoKHta-jaani Se Pahle for youth and Student by Mubeen Mirza. Free Download Qarine Zist Mein The SoKHta-jaani Se Pahle in PDF.