Yahi To Dukh Hai Zamin Aasman Bana Kar Bhi

yahi to dukh hai zamin aasman bana kar bhi

main dar-ba-dar hun KHud apna jahan bana kar bhi

agar ye sach hai ki har shai yahan pe fani hai

to kya karunga main kuchh jawedan bana kar bhi

musir hai is pe mujhe raegan nahin hona

wo zindagi ko mari raegan bana kar bhi

kise dikhaun jo tarikiyan sameTi hain

qadam qadam pe nai kahkashan bana kar bhi

kuchh aur log magar baad-azan use yaad aae

wo KHush nahin tha hamein dastan bana kar bhi

khula masafat-e-hasti mein kam nahin hote

safar ke ranj-o-alam karwan bana kar bhi

(640) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahi To Dukh Hai Zamin Aasman Bana Kar Bhi In English By Famous Poet Mubeen Mirza. Yahi To Dukh Hai Zamin Aasman Bana Kar Bhi is written by Mubeen Mirza. Read famous Poem Yahi To Dukh Hai Zamin Aasman Bana Kar Bhi for youth and Student by Mubeen Mirza. Free Download Yahi To Dukh Hai Zamin Aasman Bana Kar Bhi in PDF.