Ye Mohabbat Hai Ise Garmi-e-bazar Na Kar

ye mohabbat hai ise garmi-e-bazar na kar

lakh wahshat sahi aisa to mere yar na kar

aaj ye soch ki kal kaise sambhaalega ise

be-sabab dil mein gumanon ka ye ambar na kar

zist har aan taghayyur ka nishan hai lekin

yar kal tak jo rahe aaj unhen aghyar na kar

in badalte hue rangon ke tamashe pe na ja

ye jo duniya hai to apna ise mear na kar

masala hal bhi to ho sakta hai kuchh soch ke dekh

yun bigaD kar meri har baat se inkar na kar

main tujhe rok nahin sakta magar jate hue

ye jo imkan ka dar hai ise diwar na kar

dosti KHatm hui saf bata de mujh ko

kam se kam yun kisi dushman ki tarah war na kar

(710) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Mohabbat Hai Ise Garmi-e-bazar Na Kar In English By Famous Poet Mubeen Mirza. Ye Mohabbat Hai Ise Garmi-e-bazar Na Kar is written by Mubeen Mirza. Read famous Poem Ye Mohabbat Hai Ise Garmi-e-bazar Na Kar for youth and Student by Mubeen Mirza. Free Download Ye Mohabbat Hai Ise Garmi-e-bazar Na Kar in PDF.