Zamin Bichha Ke Alag Aasman Banaun Koi

zamin bichha ke alag aasman banaun koi

zaman makan se pare ab jahan banaun koi

tamam umr chale mere sath tanhai

gharaz hi kya hai mujhe karwan banaun koi

kisi KHushi ko nahin hai agar sabaat yahan

main sochta hun ki gham jawedan banaun koi

ye dasht-e-dil ki jahan ret uDti hai shab o roz

tere liye yahin mauj-e-rawan banaun koi

jo aisi wahshat-e-jaan hai sar-e-yaqin-o-sabaat

so kyun na wahm tarashun guman banaun koi

Thaharna kab hai mujhe reg-zar-e-duniya mein

so kya paDi hai yahan aastan banaun koi

(574) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Bichha Ke Alag Aasman Banaun Koi In English By Famous Poet Mubeen Mirza. Zamin Bichha Ke Alag Aasman Banaun Koi is written by Mubeen Mirza. Read famous Poem Zamin Bichha Ke Alag Aasman Banaun Koi for youth and Student by Mubeen Mirza. Free Download Zamin Bichha Ke Alag Aasman Banaun Koi in PDF.