Mohabbat Ramz-e-hasti Hai

mohabbat KHwab-e-gul hai

shaKH-e-dil ki suni palkon par

larazta KHwab-e-gul

jo naKHl-e-jaan ke zard-ru

girte hue patton ki

sanson mein mahakta hai

mohabbat zindagi ke sabz ufuq par

dur tak phaili hui KHushbu ki lau hai

jo kabhi dil ke darichon mein

utar kar muskuraati hai

to har-su raushni si phail jati hai

mohabbat ramz-e-hasti hai

ye aisa bhed hai jo kitne barson

balki umron ki

musalsal be-riya kawish pe khulta hai

to goya yun mohabbat

zindagi ka istiara hai

ki jis ka har bayan alfaz ki chhab

aur lahjon ka khanak se

mawara ho kar bhi

duniya-e-maafi apni KHamoshi mein rakhta hai

mohabbat KHwab-e-gul bhi hai

mohabbat ramz-e-hasti bhi

(584) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ramz-e-hasti Hai In English By Famous Poet Mubeen Mirza. Mohabbat Ramz-e-hasti Hai is written by Mubeen Mirza. Read famous Poem Mohabbat Ramz-e-hasti Hai for youth and Student by Mubeen Mirza. Free Download Mohabbat Ramz-e-hasti Hai in PDF.