Agar Hum Na The Gham UThane Ke Qabil

agar hum na the gham uThane ke qabil

to kyun hote duniya mein aane ke qabil

karun chaak sina to sau bar lekin

nahin dagh dil ye dikhane ke qabil

milen tum se kyunkar rahe hi nahin hum

bulane ke qabil na aane ke qabil

chhuTe bhi qafas se to kis kaam ke hain

nahin jab chaman tak bhi jaane ke qabil

ba-juz us ke the KHak pahle bhi ai charKH

na the KHak mein phir milane ke qabil

kiya tark-e-duniya main jab to ye samjhe

ki duniya nahin dil lagane ke qabil

wo aae dam-e-naza kya kah saken

nahin honT tak bhi hilane ke qabil

KHudaya ye ranj aur ye na-suburi

na the hum to is aazmane ke qabil

rahe hum na kuchh mustafa-KHan ke gham mein

na fikr-e-suKHan ne paDhane ke qabil

na chhoDenge mahbub-e-ilahi ke dar ko

nahin go hum is aastane ke qabil

hamein qaid karne se kya nafa sayyaad

na the dam mein hum to lane ke qabil

na baal munaqqash na par-ha-e-rangin

na aawaz-e-KHush ke sunane ke qabil

hue hain wo na-qqabilon mein shumar ab

jinhen mante the zamane ke qabil

wo 'azurda' jo KHush-bayan the nahin ab

ishaare se bhi kuchh batane ke qabil

(685) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Hum Na The Gham UThane Ke Qabil In English By Famous Poet Mufti Sadruddin Aazurda. Agar Hum Na The Gham UThane Ke Qabil is written by Mufti Sadruddin Aazurda. Read famous Poem Agar Hum Na The Gham UThane Ke Qabil for youth and Student by Mufti Sadruddin Aazurda. Free Download Agar Hum Na The Gham UThane Ke Qabil in PDF.