Nalon Se Mere Kab Tah-o-baala Jahan Nahin

nalon se mere kab tah-o-baala jahan nahin

kab aasman zamin-o-zamin aasman nahin

qatil ki chashm-e-tar na ho ye zabt-e-ah dekh

jun shama sar kaTe pe uTha yan dhuan nahin

ai bulbulan-e-shoala-dam ek nala aur bhi

gum-karda-rah-e-bagh hun yaad aashiyan nahin

is bazm mein nahin koi aagah warna kab

wan KHanda zer-e-lab udhar ashk-e-nihan nahin

ai dil tamam nafa hai sauda-e-ishq mein

ek jaan ka ziyan hai so aisa ziyan nahin

naz-o-nigah rawish sabhi lagu hain jaan ke

hai kaun ada wo teri ki jo jaan-sitan nahin

milna tera ye ghair se ho bahr-e-maslahat

hum ko to sadgi se teri ye guman nahin

aazurda tak bhi kuchh na hai us ke ru-ba-ru

mana ki aap sa koi jadu-bayan nahin

(867) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nalon Se Mere Kab Tah-o-baala Jahan Nahin In English By Famous Poet Mufti Sadruddin Aazurda. Nalon Se Mere Kab Tah-o-baala Jahan Nahin is written by Mufti Sadruddin Aazurda. Read famous Poem Nalon Se Mere Kab Tah-o-baala Jahan Nahin for youth and Student by Mufti Sadruddin Aazurda. Free Download Nalon Se Mere Kab Tah-o-baala Jahan Nahin in PDF.