Kya Jaano Jo Asar Hai Dam-e-shoala-tab Mein

kya jaano jo asar hai dam-e-shoala-tab mein

ye wo hai barq aag laga de naqab mein

haal is nigah ka us ke sarape mein kya kahun

mor-e-zaif phans gai ja shahd-e-nab mein

zikr-e-wafa wo sunte hi majlis se uTh gae

kuchh guftugu hi Thik na thi aise bab mein

kya puchhte ho chaara-e-hu az-KHwesh-e-raftagan

so ja se chaak jama hai sozan KHullab mein

aawaz-e-sur tere shahidon ko roz-e-hashr

lagti thi ek bhanak si to kanon ko KHwab mein

jo dekhte hi us se ye guzra kabhu nahin

yaqub ke KHayal o zuleKHa ke KHwab mein

har har roen se KHirqa ke mere hai KHun-chakan

ghote to sau diye use zamzam ke aab mein

is chashm-e-ashk-bar ke kyunkar ho samne

rone ka madda hi nahin hai sahab mein

qismat to dekh kholi girah kuchh to rah gae

naKHun hamare TuT ke band-e-naqab mein

har-waqt aarzu-e-azab-e-jahim hai

hathon se hijr ke hun main kya kya azab mein

(569) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Jaano Jo Asar Hai Dam-e-shoala-tab Mein In English By Famous Poet Mufti Sadruddin Aazurda. Kya Jaano Jo Asar Hai Dam-e-shoala-tab Mein is written by Mufti Sadruddin Aazurda. Read famous Poem Kya Jaano Jo Asar Hai Dam-e-shoala-tab Mein for youth and Student by Mufti Sadruddin Aazurda. Free Download Kya Jaano Jo Asar Hai Dam-e-shoala-tab Mein in PDF.