Kash Maqbul Ho Dua-e-adu

kash maqbul ho dua-e-adu

kya karun wo bhi mustajab nahin

ab to us chashm-e-tar ka charcha hai

zikr-e-dariya nahin sahab nahin

jama tufan-o-chashm-e-tar masraf

ab masarif ka kuchh hisab nahin

dho diya sab ko dida-e-tar ne

wo nahin dars wo kitab nahin

ishq-bazi ka munh chiDana hai

aur wo mausam nahin shabab nahin

teri aankhon ke daur mein kya kya

sehr ruswa nahin KHarab nahin

muKHtasar haal-e-chashm-o-dil ye hai

us ko aaram us ko KHwab nahin

jo sarapa-e-yar 'azurda'

tere diwan ka intiKHab nahin

(571) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kash Maqbul Ho Dua-e-adu In English By Famous Poet Mufti Sadruddin Aazurda. Kash Maqbul Ho Dua-e-adu is written by Mufti Sadruddin Aazurda. Read famous Poem Kash Maqbul Ho Dua-e-adu for youth and Student by Mufti Sadruddin Aazurda. Free Download Kash Maqbul Ho Dua-e-adu in PDF.