Azab Ho Gai Zanjir-e-dast-o-pa Mujhko

azab ho gai zanjir-e-dast-o-pa mujh ko

jo ho sake to kahin dar pe chaDha mujh ko

taras gaya hun main suraj ki raushni ke liye

wo di hai saya-e-diwar ne saza mujh ko

jo dekhe to isi se hai zindagi mere

magar miTa bhi rahi hai yahi hawa mujh ko

usi nazar ne mujhe toD kar bikher diya

usi nazar ne banaya tha aaina mujh ko

sarab-e-umr-e-tamanna ki tishnagi hun main

agar hai chashma-e-faiyaz to bujha mujh ko

kabhi to apne badan ke charagh raushan kar

kabhi to apne lahu se bhi aazma mujh ko

(640) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Azab Ho Gai Zanjir-e-dast-o-pa Mujhko In English By Famous Poet Mughni Tabassum. Azab Ho Gai Zanjir-e-dast-o-pa Mujhko is written by Mughni Tabassum. Read famous Poem Azab Ho Gai Zanjir-e-dast-o-pa Mujhko for youth and Student by Mughni Tabassum. Free Download Azab Ho Gai Zanjir-e-dast-o-pa Mujhko in PDF.