Faza Mein Naghma-e-awaz-e-pa Hai Mere Liye

faza mein naghma-e-awaz-e-pa hai mere liye

karan se ta-ba-karan ek nida hai mere liye

main apni zat mein lauTa to phir mila na mujhe

wo ek shaKHs jo rota raha hai mere liye

sabab hai ranj ka kuchh KHu-e-iztirab meri

kuchh apne aap se bhi wo KHafa hai mere liye

falak tamam hai aaghosh-e-bab-e-mahrumi

shajar shajar yahan dast-e-dua hai mere liye

kisi firaq ki tamhid ban ke rah jaana

tere visal ki taskin bhi kya hai mere liye

(709) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faza Mein Naghma-e-awaz-e-pa Hai Mere Liye In English By Famous Poet Mughni Tabassum. Faza Mein Naghma-e-awaz-e-pa Hai Mere Liye is written by Mughni Tabassum. Read famous Poem Faza Mein Naghma-e-awaz-e-pa Hai Mere Liye for youth and Student by Mughni Tabassum. Free Download Faza Mein Naghma-e-awaz-e-pa Hai Mere Liye in PDF.