Had Se BaDhti Hui Tazir Mein Dekha Jae
had se baDhti hui tazir mein dekha jae
KHwab ko KHwab ki tabir mein dekha jae
dekhne ko main faqat itna bacha hun yani
mujh ko ek manzar-e-taswir mein dekha jae
khul bhi sakta hai jahan par mera andaz-e-junun
zaKHm jo halqa-e-zanjir mein dekha jae
sabr bhi jis ke nishane pe hai aur sina bhi
hausla kitna hai us tir mein dekha jae
is qadar dida-e-giryan ka to haq banta hai
ab use nala-e-shab-gir mein dekha jae
tab kahin dard utarta hai rag-o-pai mein 'naim'
sher jab 'mir' ki tasir mein dekha jae
(1488) Peoples Rate This