Baat Bah Jaane Ki Sun Kar Ashk Barham Ho Gae

baat bah jaane ki sun kar ashk barham ho gae

ek zara koshish bhi ki to aur pur-nam ho gae

ye hua mamul ki manus-e-gham dil ho gaya

hum samajh baiThe hamare dard kuchh kam ho gae

kaifiyat izhaar-e-soz-e-dil ki kuchh aisi hui

aate aate lab talak alfaz mubham ho gae

waqt ki chaaragari bhi dekhiye kya KHub hai

gham dawa mein Dhal gaya aur zaKHm mahram ho gae

gardishon ke abr ki ek bund tan par kya giri

kal jo the shoala-sifat wo aaj shabnam ho gae

the hamare KHun ke qatre KHak ki surat KHuda

tere naqsh-e-pa ko chhu kar aab-e-zamzam ho gae

dushmani baDhne ka yun 'nayab' gham hum ko nahin

han magar afsos ye hai dost kuchh kam ho gae

(1386) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Bah Jaane Ki Sun Kar Ashk Barham Ho Gae In English By Famous Poet Nitin Nayab. Baat Bah Jaane Ki Sun Kar Ashk Barham Ho Gae is written by Nitin Nayab. Read famous Poem Baat Bah Jaane Ki Sun Kar Ashk Barham Ho Gae for youth and Student by Nitin Nayab. Free Download Baat Bah Jaane Ki Sun Kar Ashk Barham Ho Gae in PDF.