Badan Ko Chhu Len Tere Aur SurKH-ru Ho Len
badan ko chhu len tere aur surKH-ru ho len
bikharna hi hai to hum kyun na mushkbu ho len
chalen hain ishq ki karne agar ibaadat hum
baha ke ashk zara pahle ba-wazu ho len
chhupa ke KHwabon KHayalon ko dil ke goshe mein
zara si der haqiqat se ru-ba-ru ho len
baras gae to bhala aab ke siwa kya hain
un aansuon ki hai qimat ki jo lahu ho len
kitab-e-dil ko waraq-dar-waraq dikha denge
zara hum aap se tum aur tum se tu ho len
na mujh mein main hi rahun aur na tujh mein tu hi rahe
milen kuchh aise ki donon hi hu-ba-hu ho len
safar wafa ka adhura adhura hai jaan lo 'nayab'
ki jab talak na dil-o-jaan lahu lahu ho len
(1600) Peoples Rate This