Gham Ke Be-nur Mazaron Ka Gala GhonT Aaya

gham ke be-nur mazaron ka gala ghonT aaya

sare be-mehr sahaaron ka gala ghonT aaya

qarya-e-hijr ke ek ghar ka wo viran aangan

wasl ke shoKH nazaron ka gala ghonT aaya

rah ke sang ko suli pe chaDhaya pahle

aur phir panw ke KHaron ka gala ghonT aaya

roz suraj ki taraf se ye sawal aata hai

kya main un chand sitaron ka gala ghonT aaya

zulmat-e-shab main wo basti ke nashinon ka junun

shahr ki sare manaron ka gala ghonT aaya

hae ek phul masalne ko ye kanTon ka hujum

ja ke gulshan mein bahaaron ka gala ghonT aaya

Dar-e-purkhaar pe laTka ke sulagte phande

qatra-e-ab shararon ka gala ghonT aaya

aaj phir zabt-e-rag-e-jaan se nikal kar 'nayab'

dard ke jalte dayaron ka gala ghonT aaya

(1338) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Ke Be-nur Mazaron Ka Gala GhonT Aaya In English By Famous Poet Nitin Nayab. Gham Ke Be-nur Mazaron Ka Gala GhonT Aaya is written by Nitin Nayab. Read famous Poem Gham Ke Be-nur Mazaron Ka Gala GhonT Aaya for youth and Student by Nitin Nayab. Free Download Gham Ke Be-nur Mazaron Ka Gala GhonT Aaya in PDF.