Is Dil Se Mere Ishq Ke Arman Ko Nikalo

is dil se mere ishq ke arman ko nikalo

tahrir se auraq-e-pareshan ko nikalo

mumkin hai tahi kar do mujhe har kisi shai se

mumkin ho agar dil se is iman ko nikalo

gar dur talak bab ke imkan nahin hain

diwar mein ek rauzan-e-zindan ko nikalo

jis ko hai bharam aaj bhi paiman-e-wafa ka

sine se mere us dil-e-nadan ko nikalo

patjhaD mein bhi har gul pe bahaar aae yaqinan

gulshan se agar mausam-e-hijran ko nikalo

tab ja ke laga paoge dil apna KHizan se

pahle to is ummid-e-bahaaran ko nikalo

tanhai chali aae khula jaan ke ek dar

palkon se agar yaad ke darban ko nikalo

sahraon mein phir dur talak saf hai manzar

aankhon se agar ret ke tufan ko nikalo

aashufta-saron par bhi nazar jaegi 'nayab'

gardan se agar sar-ba-gareban ko nikalo

(1841) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Dil Se Mere Ishq Ke Arman Ko Nikalo In English By Famous Poet Nitin Nayab. Is Dil Se Mere Ishq Ke Arman Ko Nikalo is written by Nitin Nayab. Read famous Poem Is Dil Se Mere Ishq Ke Arman Ko Nikalo for youth and Student by Nitin Nayab. Free Download Is Dil Se Mere Ishq Ke Arman Ko Nikalo in PDF.