Jab Jab Main Zindagi Ki Pareshaniyon Mein Tha

jab jab main zindagi ki pareshaniyon mein tha

apnon ke bawajud bhi tanhaiyon mein tha

aabaadiyon ne sare bharam hi miTa diye

is se ziyaada KHush to main viraniyon mein tha

sahil pe jo khaDe the unhen mauj le gai

main bach gaya ki yar main tughyaniyon mein tha

aasaniyon mein zist hi be-kaif ho gai

jine ka asl lutf to dushwariyon mein tha

karta bhi kya kisi se shifa ki koi umid

sara ka sara shahr hi bimariyon mein tha

jo sada-lauh the wo nashebon mein rah gae

chaalak jo bhi shaKHs tha unchaiyon mein tha

kuchh aap hi ne ghaur se Dali nahin nazar

mera bhi nam aap ke shaidaiyon mein tha

baaten to sath par yun bahut si huin magar

mera dimagh jhil ki gahraiyon mein tha

'nayab' bhai ban ke gale jo mila tha kal

us shaKHs ka shumar bhi dangaiyon mein tha

(1322) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Jab Main Zindagi Ki Pareshaniyon Mein Tha In English By Famous Poet Nitin Nayab. Jab Jab Main Zindagi Ki Pareshaniyon Mein Tha is written by Nitin Nayab. Read famous Poem Jab Jab Main Zindagi Ki Pareshaniyon Mein Tha for youth and Student by Nitin Nayab. Free Download Jab Jab Main Zindagi Ki Pareshaniyon Mein Tha in PDF.