Phir Ye Mumkin Hi Nahin Hai Ki Sambhaalo Mujhko

phir ye mumkin hi nahin hai ki sambhaalo mujh ko

ek zara qaid se bahar to nikalo mujh ko

is haqiqat ki bhi aamad ho mere hujre mein

chhoD ke jao kabhi KHwabo KHayalo mujh ko

jism ko dard mein hansne ka hunar aata hai

iltija ye hai ki patthar mein na Dhaalo mujh ko

main ne pabandi laga di hai zaban par warna

muddaa chiKH raha hai ki uchhaalo mujh ko

tab talak kuza-garo KHwab hai tabir meri

jab talak puri tarah toD na Dalo mujh ko

mawara hun main har ek lafz-e-suKHan se jo mujhe

tum ko paDhna hai to phir soch mein Dhaalo mujh ko

lo main karta hun meri KHak tumhaare hi sipurd

jaisi darkar ho waisa hi bana lo mujh ko

pahle malbe ko mere saf karo upar se

phir meri KHak ke niche se nikalo mujh ko

aankhen neze pe Tike dekh ke apni 'nayab'

bol uThe KHwab bhi ab to ki na palo mujh ko

(1551) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Ye Mumkin Hi Nahin Hai Ki Sambhaalo Mujhko In English By Famous Poet Nitin Nayab. Phir Ye Mumkin Hi Nahin Hai Ki Sambhaalo Mujhko is written by Nitin Nayab. Read famous Poem Phir Ye Mumkin Hi Nahin Hai Ki Sambhaalo Mujhko for youth and Student by Nitin Nayab. Free Download Phir Ye Mumkin Hi Nahin Hai Ki Sambhaalo Mujhko in PDF.