Sahir-ludhiyanwi Ke Liye
sahar tha jis ki baaton mein
naKHl-e-samar tha
jis ke hathon mein
jadu-bayan aisa
jo banjh zaminon se faslen uga gaya
wajud ki be-mani kitabon mein
hamein dars-e-ibrat de gaya
maut aur zist ke darmiyan
kitne fasle masdud kar gaya
tajrabaat ka bas apne pyalon mein ghol kar
shaKHon mein aansu khila gaya
le aaya wo saughat
jo zaKHm-e-dil ka mudawa bhi bani
qudrat ne us ko baKHshi
dayar-e-shauq ki rahbari
har lamha jis ne ki apni zat ki nigahbani
taraqqi-pasandon mein 'sahir'
ek nirala shair tha
(1022) Peoples Rate This