Manzar Ka Ehsan Utara Ja Sakta Hai

manzar ka ehsan utara ja sakta hai

aankh ko yara bhuka mara ja sakta hai

aangan aangan aag ugai ja sakti hai

kamron mein dariya ka kinara ja sakta hai

kirchi kirchi KHwab chamakta hai aankhon mein

un se ab duniya ko sanwara ja sakta hai

bundon mein aaine ghole ja sakte hain

chadar-e-tan mein safar guzara ja sakta hai

jism-o-dil ki Than jaane par yaad rakho

jism ko jito dil to haara ja sakta hai

jis basti ke rashan ghar mein KHun banTe

wahan faqat lashon ko sanwara ja sakta hai

jis aangan ki sanwaliyan roTi jiten

us ke tawe par chand utara ja sakta hai

aatish-dan ka sina ThanDa ho sakta hai

barf ka TukDa ban ke sharara ja sakta hai

(757) Peoples Rate This


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544