Eden Garden

ye eden garden hamdam nigah-o-dil ki jannat hai

yahan hawwa ki rangin beTiyan har sham aati hain

jawan mardon ko apni jazbiyyat se lubhati hain

dilon ko sharmgin nazron se paiham gudgudati hain

suhagan hai to us ki mang mein jhumar chamakta hai

kunwari hai to us ke jism se KHushbu nikalti hai

gulabi madh-bhari aankhon se ek masti ubalti hai

wo masti jo dilon ke saghar-e-rangin mein Dhalti hai

kahin joDe mein koi phul gundhe koi laT khole

faza-e-sahil-e-hugli mein rang-o-nur bharti hai

bhare majmea mein apne husn ka elan karti hai

tamasha dekhne walon ki ruhon mein utarti hai

sunahri baaliyan shoKHi se ruKHsaron ko takti hain

khanakti chuDiyan giton ki miThi dhun sunati hain

jabin par nannhi nannhi kahkashaen jagmagati hain

hinai ungliyan lahra ke sajan ko bulati hain

ye bangali hasinaon ki jalwa-gah hai hamdam

yahan pir-o-jawan aa kar mata-e-dil luTate hain

junun-angez lai mein narm-o-shirin git gate hain

nigahon mein nigahen Dalte hain muskuraate hain

Thahar ai jazba-e-be-tab isi rangin duniya mein

labon ki surKH mai se dil ke KHali jam ko bhar len

shamim-e-zulf se be-rabt sansen ambarin kar len

jawani ke bahaar-agin gulistan mein qadam dhar len

(690) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Eden Garden In English By Famous Poet Owais Ahmad Dauran. Eden Garden is written by Owais Ahmad Dauran. Read famous Poem Eden Garden for youth and Student by Owais Ahmad Dauran. Free Download Eden Garden in PDF.