Jhumar

saheli yun to kuchh kuchh sanwle se hain mere sajan

magar teri qasam behad rasile hain mere sajan

jo main kahti hun us ko muskura kar man jate hain

bahut pyare baDe hi bhole-bhaale hain mere sajan

main un se prem karti hun bhala main kya bataungi

sakhi tu bol tujh ko kaise lagte hain mere sajan

ba-zahir wo dikhai dete hain masum duniya ko

magar andar se mastane rangile hain mere sajan

naha dho kar main apni mang jab sindur se bharti hun

to jaane zer-e-lab kyun muskuraate hain mere sajan

khule baalon ki KHushbu dil ko matwala banati hai

mera juDa ye kah kar khol dete hain mere sajan

chhupa leti hun chehra us ghaDi main laj ke mare

mujhe jab sej par apni bulate hain mere sajan

na mujh se dil sambhalta hai na aanchal hi sambhalta hai

suhane git kyun raaton ko gate hain mere sajan

mujhe pardes se har bar gahna la ke dete hain

saheli mujh se behad pyar karte hain mere sajan

kai din se musalsal dekhti hun un ko sapne mein

papihe sach bata kya aane wale hain mere sajan

chamakta hai mere mathe pe jhumar aaj kyun jaise

KHushi ka chand ban kar ghar mein aae hain mere sajan

sawere se bahut bechain hun ghabra rahi hun main

sakhi pardes mein kya jaane kaise hain mere sajan

koilya! dil mein teri kuk ab nashtar chubhoti hai

zamana ho gaya hai mujh se bichhDe hain mere sajan

ghaTa phir jhum kar sawan ki aai mor phir bola

mere sajan ab aa jao ki jhulen bagh mein jhula

(926) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jhumar In English By Famous Poet Owais Ahmad Dauran. Jhumar is written by Owais Ahmad Dauran. Read famous Poem Jhumar for youth and Student by Owais Ahmad Dauran. Free Download Jhumar in PDF.