Ye Daulat Bhi Le Lo Ye Shohrat Bhi Le Lo

ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo

bhale chhin lo mujh se meri jawani

magar mujh ko lauTa do bachpan ka sawan

wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani

mohalle ki sab se purani nishani

wo baDhiya jise bachche kahte the nani

wo nani ki baaton mein pariyon ka Dera

wo chehre ki jhurriyon mein sadiyon ka phera

bhulae nahin bhul sakta hai koi

wo chhoTi si raaten wo lambi kahani

khaDi dhup mein apne ghar se nikalna

wo chiDiyan wo bulbul wo titli pakaDna

wo guDiya ki shadi mein laDna jhagaDna

wo jhulon se girna wo gir ke sambhalna

wo pital ke chhallon ke pyare se tohfe

wo TuTi hui chuDiyon ki nishani

kabhi ret ke unche Tilon pe jaana

gharaunde banana bana ke miTana

wo masum chahat ki taswir apni

wo KHwabon-KHayalon ki jagir apni

na duniya ka gham tha na rishton ka bandhan

baDi KHub-surat thi wo zindagani

(3414) Peoples Rate This

Sudarshan Faakir's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Ye Daulat Bhi Le Lo Ye Shohrat Bhi Le Lo In English By Famous Poet Sudarshan Faakir. Ye Daulat Bhi Le Lo Ye Shohrat Bhi Le Lo is written by Sudarshan Faakir. Read famous Poem Ye Daulat Bhi Le Lo Ye Shohrat Bhi Le Lo for youth and Student by Sudarshan Faakir. Free Download Ye Daulat Bhi Le Lo Ye Shohrat Bhi Le Lo in PDF.