Tere KHayal Ke Baadal Utar Ke Aae Hain

tere KHayal ke baadal utar ke aae hain

tabhi to ye mere aansu ubhar ke aae hain

nai ruton mein khile gul to ye hua mahsus

purane dard naya bhes dhar ke aae hain

hamari aankhon mein kuchh der Dub kar dekho

tumhaare KHwab yahin se guzar ke aae hain

zaruri bazm se uThna hua to uTh aae

talluqat kahan tark kar ke aae hain

ye sarhaden kahan hoti hain har kisi ke liye

idhar barasne ko baadal udhar ke aae hain

akele ja ke bhi lauTe nahin akele hum

hamare sath manazir safar ke aae hain

(5947) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere KHayal Ke Baadal Utar Ke Aae Hain In English By Famous Poet Taruna Mishra. Tere KHayal Ke Baadal Utar Ke Aae Hain is written by Taruna Mishra. Read famous Poem Tere KHayal Ke Baadal Utar Ke Aae Hain for youth and Student by Taruna Mishra. Free Download Tere KHayal Ke Baadal Utar Ke Aae Hain in PDF.