Kya Main Jugnu Ko Aaftab Karun

kya main jugnu ko aaftab karun

ya charaghon ka intiKHab karun

dil ye kahta hai inqalab karun

pesh us ko main ek gulab karun

waqt ne kya nahin diya mujh ko

be-sabab waqt kyun KHarab karun

sar paTak kar ab us ke kuche mein

apni taqdir se hisab karun

main karun phir koi sawal naya

aur phir us ko la-jawab karun

zindagi ne to haar man hi li

kam-se-kam maut kaamyab karun

sab ke chehre pe ek chehra hai

kis ka chehra main be-naqab karun

(1759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Main Jugnu Ko Aaftab Karun In English By Famous Poet Taruna Mishra. Kya Main Jugnu Ko Aaftab Karun is written by Taruna Mishra. Read famous Poem Kya Main Jugnu Ko Aaftab Karun for youth and Student by Taruna Mishra. Free Download Kya Main Jugnu Ko Aaftab Karun in PDF.