Koi Charagh Na Jugnu Safar Mein Rakkha Gaya
koi charagh na jugnu safar mein rakkha gaya
dil-o-dimagh ko jab apne ghar mein rakkha gaya
khurach khurach ke likha nam ek KHushbu ka
kisi ki yaad ko yun bhi shajar mein rakkha gaya
jo ek lamhe ko chamka tha tur hasti par
wahi to aks hamesha nazar mein rakkha gaya
meri nigah ne dekhe nahin khanDar ab tak
mujhe to ganw se pahle nagar mein rakkha gaya
mujhe hi fikr rahi ek ana ke miTne ki
ki ek junun sa mere hi sar mein rakkha gaya
tarashti hi rahin us ki ungliyan mujh ko
mera wajud kisi ke hunar mein rakkha gaya
ufuq pe phul wafaon ka jab hua raushan
sisakti shab ke lahu ko sahar mein rakkha gaya
(1984) Peoples Rate This