Main Raste Mein Jahan Thahra Hua Tha

main raste mein jahan Thahra hua tha

wahin to dhup ka chehra khila tha

sabhi alfaz the meri zaban ke

magar main ne kahan kuchh bhi kaha tha

wo kis ke jism ki KHushbu thi aaKHir

hawa se tazkira kis ka suna tha

samundar mein bahut halchal thi ek din

safina kis ka Duba ja raha tha

ki jaise KHwab sa dekha tha koi

bas itna yaad hai koi mila tha

khanDar mein ghumti phirti thin yaaden

udasi ka ajab manzar saja tha

meri miTTi ki himmat baDh gai thi

mere raste mein dariya aa gaya tha

(1674) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Raste Mein Jahan Thahra Hua Tha In English By Famous Poet Wafa Naqvi. Main Raste Mein Jahan Thahra Hua Tha is written by Wafa Naqvi. Read famous Poem Main Raste Mein Jahan Thahra Hua Tha for youth and Student by Wafa Naqvi. Free Download Main Raste Mein Jahan Thahra Hua Tha in PDF.