Imarat Ho Ki Ghurbat Bolti Hai

imarat ho ki ghurbat bolti hai

ba-har-surat sharafat bolti hai

wahan bazar ka hota hai manzar

jahan ghar ki zarurat bolti hai

zaban KHamosh hi rahti hai lekin

mere chehre ki rangat bolti hai

ba-zahir guftugu hai muKHlisana

magar dil mein kudurat bolti hai

wo patthar mom ban jae na kaise

ki sar chaDh ke mohabbat bolti hai

zaban-e-ilm par tale paDe hain

ba-zoam-e-KHud jahaalat bolti hai

zabanen kaT di jati hain phir bhi

rag-o-pai se mohabbat bolti hai

'wali' ki zindagi aaina-surat

sadaqat hi sadaqat bolti hai

(1623) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Imarat Ho Ki Ghurbat Bolti Hai In English By Famous Poet Waliullah Wali. Imarat Ho Ki Ghurbat Bolti Hai is written by Waliullah Wali. Read famous Poem Imarat Ho Ki Ghurbat Bolti Hai for youth and Student by Waliullah Wali. Free Download Imarat Ho Ki Ghurbat Bolti Hai in PDF.