Pyar Ka Yun Dastur Nibhana PaDta Hai

pyar ka yun dastur nibhana paDta hai

qatil ko sine se lagana paDta hai

duniya ko pur-nur banane ki KHatir

apne ghar ko aag lagana paDta hai

but-KHane yunhi tamir nahin hote

patthar ko bhagwan banana paDta hai

duniya-dari ki KHatir is duniya ka

jaane kya kya naz uThana paDta hai

apne qatil ki masum nigahon se

dil ka har ek zaKHm chhupana paDta hai

aisa bhi waqt aata hai sardari par

angaron ko phul banana paDta hai

aisa bhi hota hai hijr ki raaton mein

diwaron ko haal sunana paDta hai

jin galiyon mein qatl hue arman 'wali'

un galiyon mein aana jaana paDta hai

(2403) Peoples Rate This


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544