Haqiqat Hai Ki Nanha Sa Diya Hun

haqiqat hai ki nanha sa diya hun

magar har haal mein jalta raha hun

jamal-e-subh se na-ashna hun

kisi tarik shab ki bad-dua hun

wo aisa chha gaya hai zehn-o-dil par

jidhar dekhun usi ko dekhta hun

koi to DhunD kar mujh ko nikale

main apne shahr-e-jaan mein kho gaya hun

jo hai tamsil-e-husn-e-parsai

'wali' main aisa rind-e-parsa hun

(3890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haqiqat Hai Ki Nanha Sa Diya Hun In English By Famous Poet Waliullah Wali. Haqiqat Hai Ki Nanha Sa Diya Hun is written by Waliullah Wali. Read famous Poem Haqiqat Hai Ki Nanha Sa Diya Hun for youth and Student by Waliullah Wali. Free Download Haqiqat Hai Ki Nanha Sa Diya Hun in PDF.