Aankh Dikhlane Laga Hai Wo Fusun-saz Mujhe

aankh dikhlane laga hai wo fusun-saz mujhe

kahin ab KHak na chhanwae ye andaz mujhe

kaise hairan the tum aaine mein jab aankh laDi

aaj tak yaad hai is ishq ka aaghaz mujhe

samne aa nahin sakte ki hijab aata hai

parda-e-dil se sunate hain wo aawaz mujhe

tiliyan toD ke nikle sab asiran-e-qafas

magar ab tak na mili ruKHsat-e-parwaz mujhe

par katar de are sayyaad chhuri pherna kya

mar Dalegi yunhi hasrat-e-parwaz mujhe

zer-e-diwar-e-sanam qabr mein sota hun falak

kyun na ho tala-e-bedar par ab naz mujhe

be-dhaDak aae na zindan mein nasim-e-wahshat

mast kar deti hai zanjir ki aawaz mujhe

parda-e-hijr wahi hasti-e-mauhum thi 'yas'

sach hai pahle nahin malum tha ye raaz mujhe

(958) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Dikhlane Laga Hai Wo Fusun-saz Mujhe In English By Famous Poet Yagana Changezi. Aankh Dikhlane Laga Hai Wo Fusun-saz Mujhe is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Aankh Dikhlane Laga Hai Wo Fusun-saz Mujhe for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Aankh Dikhlane Laga Hai Wo Fusun-saz Mujhe in PDF.