Aap Mein Kyunkar Rahe Koi Ye Saman Dekh Kar

aap mein kyunkar rahe koi ye saman dekh kar

sham-e-ismat ko bhari mahfil mein uryan dekh kar

dil ko bahlate ho kya kya aarzu-e-KHam se

amr-e-na-mumkin mein goya rang-e-imkan dekh kar

kya ajab hai bhul jaen ahl-e-dil apna bhi dard

husn-e-mastana ko aaKHir mein pashiman dekh kar

DhunDte phirte ho ab TuTe hue dil mein panah

dard se KHali dil-e-gabr-o-musalman dekh kar

dil jala kar wadi-e-ghurbat ko raushan kar chale

KHub sujhi jalwa-e-sham-e-ghariban dekh kar

imtiyaz-e-surat-o-mani se begana hua

aaine ko aaina hairan ko hairan dekh kar

pairahan mein kya sama sakta habab-e-jaan-ba-lab

hasti-e-mauhum ka KHwab-e-pareshan dekh kar

sabr karna saKHt mushkil hai taDapna sahl hai

apne bas ka kaam kar leta hun aasan dekh kar

aur kya hoti 'yagana' dard-e-isyan ki dawa

kya ghazal yaad aai wallah fard-e-isyan dekh kar

(950) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aap Mein Kyunkar Rahe Koi Ye Saman Dekh Kar In English By Famous Poet Yagana Changezi. Aap Mein Kyunkar Rahe Koi Ye Saman Dekh Kar is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Aap Mein Kyunkar Rahe Koi Ye Saman Dekh Kar for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Aap Mein Kyunkar Rahe Koi Ye Saman Dekh Kar in PDF.