Aap Se Aap Ayan Shahid-e-mani Hoga
aap se aap ayan shahid-e-mani hoga
ek din gardish-e-aflak se ye bhi hoga
aankhen banwaiye pahle zara ai hazrat-e-qais
kya inhin aankhon se nazzara-e-laili hoga
shauq mein daman-e-yusuf ke uDenge TukDe
dast-e-gustaKH se kya dur hai ye bhi hoga
lakhon is husn pe mar jaenge dekha-dekhi
koi ghash hoga koi mahw-e-tajalli hoga
husn-e-zati bhi chhupae se kahin chhupta hai
sat pardon se ayan shahid-e-mani hoga
hosh uDenge jo zamane ki hawa bigDegi
chaar hi din mein KHizan gulshan-e-hasti hoga
aur umDega dil-e-zar jahan tak chheDo
ye bhi kya koi KHazana hai ki KHali hoga
dil dhaDakne laga phir subh-e-judai aai
phir wahi dard wahi pahlu-e-KHali hoga
ye to farmaiye kya hum mein rahega baqi
dil agar dard-e-mohabbat se bhi KHali hoga
ek chullu se bhi kya 'yas' rahoge mahrum
bazm-e-mai hai to koi sahab-e-dil bhi hoga
(1098) Peoples Rate This