Adab Ne Dil Ke Taqaze UThae Hain Kya Kya

adab ne dil ke taqaze uThae hain kya kya

hawas ne shauq ke pahlu dabae hain kya kya

na jaane sahw-e-qalam hai ki shahkar-e-qalam

bala-e-husn ne fitne uThae hain kya kya

nigah Dal di jis par wo ho gaya andha

nazar ne rang-e-tasarruf dikhae hain kya kya

isi fareb ne mara ki kal hai kitni dur

is aaj kal mein abas din ganwae hain kya kya

pahaD kaTne wale zamin se haar gae

isi zamin mein dariya samae hain kya kya

guzar ke aap se hum aap tak pahunch to gae

magar KHabar bhi hai kuchh pher khae hain kya kya

buland ho to khule tujh pe zor pasti ka

baDe-baDon ke qadam Dagmagae hain kya kya

KHushi mein apne qadam chum lun to zeba hai

wo laghzishon pe meri muskurae hain kya kya

KHuda hi jaane 'yagana' main kaun hun kya hun

KHud apni zat pe shak dil mein aae hain kya kya

(983) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Adab Ne Dil Ke Taqaze UThae Hain Kya Kya In English By Famous Poet Yagana Changezi. Adab Ne Dil Ke Taqaze UThae Hain Kya Kya is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Adab Ne Dil Ke Taqaze UThae Hain Kya Kya for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Adab Ne Dil Ke Taqaze UThae Hain Kya Kya in PDF.