Agar Apni Chashm-e-nam Par Mujhe IKHtiyar Hota

agar apni chashm-e-nam par mujhe iKHtiyar hota

to bhala ye raaz-e-ulfat kabhi aashkar hota

hai tunuk-mizaj sayyaad kuchh apna bas nahin hai

main qafas ko le ke uDta agar iKHtiyar hota

ye zara si ek jhalak ne dil o jaan ko yun jalaya

teri barq-e-husn se phir koi kya do-chaar hota

aji tauba is gareban ki bhala bisat kya thi

ye kaho ki hath uljha nahin tar-tar hota

wo na aate fatiha ko zara muD ke dekh lete

to hujum-e-'yas' itna na sar-e-mazar hota

(926) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Apni Chashm-e-nam Par Mujhe IKHtiyar Hota In English By Famous Poet Yagana Changezi. Agar Apni Chashm-e-nam Par Mujhe IKHtiyar Hota is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Agar Apni Chashm-e-nam Par Mujhe IKHtiyar Hota for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Agar Apni Chashm-e-nam Par Mujhe IKHtiyar Hota in PDF.