Daman-e-qatil Jo UD UD Kar Hawa Dene Lage

daman-e-qatil jo uD uD kar hawa dene lage

kya bataun zaKHm-e-dil kya kya dua dene lage

wae nakaami kahan saffak ne roka hai hath

zaKHm-ha-e-shauq jab kuchh kuchh maza dene lage

chaarasazo mujh se ruswa jaan-ba-lab bimar ko

zahr dena chahiye tha tum dawa dene lage

yas o hirman aah-e-sozan ashk-e-KHun dagh-e-junun

hazrat-e-ishq aur kya is ke siwa dene lage

aaj ho shayad kisi ko aatish-e-gham ki KHabar

shukr hai ab ustuKHwan bu-e-wafa dene lage

kya muKHalif ho gai hum se zamane ki hawa

'yas' dekho hazrat-e-dil bhi dagha dene lage

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daman-e-qatil Jo UD UD Kar Hawa Dene Lage In English By Famous Poet Yagana Changezi. Daman-e-qatil Jo UD UD Kar Hawa Dene Lage is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Daman-e-qatil Jo UD UD Kar Hawa Dene Lage for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Daman-e-qatil Jo UD UD Kar Hawa Dene Lage in PDF.