Dil Lagane Ki Jagah Aalam-e-ijad Nahin

dil lagane ki jagah aalam-e-ijad nahin

KHwab aankhon ne bahut dekhe magar yaad nahin

aaj asiron mein wo hangama-e-fariyaad nahin

shayad ab koi gulistan ka sabaq yaad nahin

sar-e-shorida salamat hai magar kya kahiye

dast-e-farhad nahin tesha-e-farhad nahin

tauba bhi bhul gae ishq mein wo mar paDi

aise ausan gae hain ki KHuda yaad nahin

dushman o dost se aabaad hain donon pahlu

dil salamat hai to ghar ishq ka barbaad nahin

fikr-e-imroz na andesha-e-farda ki KHalish

zindagi us ki jise maut ka din yaad nahin

nikhat-e-gul ki hai raftar hawa ki paband

ruh qalib se nikalne pe bhi aazad nahin

zinda hain murda-paraston mein abhi tak 'ghaalib'

magar ustad 'yagana' sa ab ustad nahin

(915) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Lagane Ki Jagah Aalam-e-ijad Nahin In English By Famous Poet Yagana Changezi. Dil Lagane Ki Jagah Aalam-e-ijad Nahin is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Dil Lagane Ki Jagah Aalam-e-ijad Nahin for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Dil Lagane Ki Jagah Aalam-e-ijad Nahin in PDF.