Duniya Ka Chalan Tark Kiya Bhi Nahin Jata

duniya ka chalan tark kiya bhi nahin jata

is jada-e-baatil se phira bhi nahin jata

zindan-e-musibat se koi nikle to kyunkar

ruswa sar-e-bazar hua bhi nahin jata

dil baad-e-fana bhi hai giran-bar-e-amanat

duniya se subuk-dosh uTha bhi nahin jata

kyun aane lage shahid-e-ismat sar-e-bazar

kya KHak ke parde mein chhupa bhi nahin jata

ek mani-e-be-lafz hai andesha-e-farda

jaise KHat-e-qismat ki paDha bhi nahin jata

(1399) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Ka Chalan Tark Kiya Bhi Nahin Jata In English By Famous Poet Yagana Changezi. Duniya Ka Chalan Tark Kiya Bhi Nahin Jata is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Duniya Ka Chalan Tark Kiya Bhi Nahin Jata for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Duniya Ka Chalan Tark Kiya Bhi Nahin Jata in PDF.