KHuda Ki Mar Wo Ayyam-e-shor-o-shar Guzre

KHuda ki mar wo ayyam-e-shor-o-shar guzre

wo jin sawar tha sar par ki sar se dar-guzre

halal bhi mere haq mein haram wawaila

nigah-e-shauq se kya kya gul-o-samar guzre

jo sabz-bagh-e-tamanna pe pher de pani

KHuda bachae hum aisi nazar se dar-guzre

nikale aib mein sau husn husn mein sau aib

KHayal hi to hai jaisa bandhe jidhar guzre

zamin panw tale se nikal gai to kya

hum apni dhun mein zamane se be-KHabar guzre

maza na pochhiye wallah dil dukhane ka

kahan ka KHauf-e-KHuda Than li to kar guzre

adab ke waste kitnon ke dil dukhae hain

'yagana' had se guzarna na tha magar guzre

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda Ki Mar Wo Ayyam-e-shor-o-shar Guzre In English By Famous Poet Yagana Changezi. KHuda Ki Mar Wo Ayyam-e-shor-o-shar Guzre is written by Yagana Changezi. Read famous Poem KHuda Ki Mar Wo Ayyam-e-shor-o-shar Guzre for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download KHuda Ki Mar Wo Ayyam-e-shor-o-shar Guzre in PDF.