Kar-gah-e-duniya Ki Nesti Bhi Hasti Hai

kar-gah-e-duniya ki nesti bhi hasti hai

ek taraf ujaDti hai ek samt basti hai

be-dilon ki hasti kya jite hain na marte hain

KHwab hai na bedari hosh hai na masti hai

kya bataun kya hun main qudrat-e-KHuda hun main

meri KHud-parasti bhi ain haq-parasti hai

kimiya-e-dil kya hai KHak hai magar kaisi

lijiye to mahngi hai bechiye to sasti hai

KHizr-e-manzil apna hun apni rah chalta hun

mere haal par duniya kya samajh ke hansti hai

kya kahun safar apna KHatm kyun nahin hota

fikr ki bulandi ya hausle ki pasti hai

husn-e-be-tamasha ki dhum kya muamma hai

kan bhi hain na-mahram aankh bhi tarasti hai

chitwanon se milta hai kuchh suragh baatin ka

chaal se to kafir par sadgi barasti hai

tark-e-lazzat-e-duniya kijiye to kis dil se

zauq-e-parsai kya faiz-e-tang-dasti hai

didani hai 'yas' apne ranj o gham ki tughyani

jhum jhum kar kya kya ye ghaTa barasti hai

(1344) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kar-gah-e-duniya Ki Nesti Bhi Hasti Hai In English By Famous Poet Yagana Changezi. Kar-gah-e-duniya Ki Nesti Bhi Hasti Hai is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Kar-gah-e-duniya Ki Nesti Bhi Hasti Hai for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Kar-gah-e-duniya Ki Nesti Bhi Hasti Hai in PDF.