Kaam Diwanon Ko Shahron Se Na Bazaron Se

kaam diwanon ko shahron se na bazaron se

mast hain aalam-e-ijad ke nazzaron se

zulfen bal khati hain ya jhumti hai kali ghaTa

barish-e-nur hai har su tere ruKHsaron se

wan naqab uTThi yahan chandni ne khet kiya

kaT gai zulmat-e-shab chand se ruKHsaron se

dekhta rah gaya aaina kisi ki surat

zulfen aTkheliyan karti rahin ruKHsaron se

dekhen kis tarah basar hote hain ayyam-e-junun

yan to hai samna har dam inhin gham-KHwaron se

hath uljha hai gareban mein khaDe dekhte hain

aur ummid koi kya kare gham-KHwaron se

kashish-e-dasht-e-bala hubb-e-watan daman-gir

aaj ghar chhuTta hai pahle-pahal aawaron se

marte dam tak teri talwar ka dam bharte rahe

haq ada ho na saka phir bhi wafadaron se

be-dhaDak pichhle pahar nala-o-shewan na karen

kah de itna to koi taza-giraftaron se

mausam-e-gul nahin paigham-e-ajal tha sayyaad

dekh KHali hai qafas aaj giraftaron se

kya bura haal hai angDaiyan lete lete

saqiya naz ab achchha nahin mai-KHwaron se

kanpte hathon se saghar ko bachaya to bahut

kya kahen KHud hi na sambhla gaya mai-KHwaron se

sar ko Takra ke gaya hai koi sahra ki taraf

KHun sabit hai abhi shahr ki diwaron se

eDiyan wadi-e-ghurbat mein ragaDte hi rahe

dur khinchti gai manzil watan-awaron se

kan mein pichhle pahar aai ek aawaz-e-hazin

ab to gham-KHwar bhi diq hain tere bimaron se

jhilmilane laga jab 'yas' charagh-e-sahari

phir to Thahra na gaya hijr ke bimaron se

(1131) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaam Diwanon Ko Shahron Se Na Bazaron Se In English By Famous Poet Yagana Changezi. Kaam Diwanon Ko Shahron Se Na Bazaron Se is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Kaam Diwanon Ko Shahron Se Na Bazaron Se for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Kaam Diwanon Ko Shahron Se Na Bazaron Se in PDF.