Jab Husn-e-be-misal Par Itna Ghurur Tha

jab husn-e-be-misal par itna ghurur tha

aaina dekhna tumhein phir kya zarur tha

chhup-chhup ke ghair tak tumhein jaana zarur tha

tha pichhe pichhe main bhi magar dur dur tha

mulk-e-adam ki rah thi mushkil se tai hui

manzil tak aate aate badan chur-chur tha

do ghunT bhi na pi sake aur aankh khul gai

phir bazm-e-aish thi na wo jam-e-surur tha

waiz ki aankhen khul gain pite hi saqiya

ye jam-e-mai tha ya koi dariya-e-nur tha

kyun baiThe hath malte ho ab 'yas' kya hua

is bewafa shabab par itna ghurur tha

(949) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Husn-e-be-misal Par Itna Ghurur Tha In English By Famous Poet Yagana Changezi. Jab Husn-e-be-misal Par Itna Ghurur Tha is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Jab Husn-e-be-misal Par Itna Ghurur Tha for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Jab Husn-e-be-misal Par Itna Ghurur Tha in PDF.