Qissa Kitab-e-umr Ka Kya MuKHtasar Hua

qissa kitab-e-umr ka kya muKHtasar hua

ruKH dastan-e-gham ka idhar se udhar hua

matam-sara-e-dahr mein kis kis ko roiye

ai wae dard-e-dil na hua dard-e-sar hua

taskin-e-dil ko raaz-e-KHudi puchhta hai kya

kahne ko kah dun aur agar ulTa asar hua

aazad ho saka na giraftar-e-shash-jahat

dil muft banda-e-hawas-e-baal-o-par hua

duniya ke sath din ki begar al-aman

insan aadmi na hua jaanwar hua

farda ka dhyan bandh ke kahta hai mujh se dil

tu meri tarah kyun na wasi-un-nazar hua

farda ko dur hi se hamara salam hai

dil apna sham hi se charagh-e-sahar hua

(1005) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qissa Kitab-e-umr Ka Kya MuKHtasar Hua In English By Famous Poet Yagana Changezi. Qissa Kitab-e-umr Ka Kya MuKHtasar Hua is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Qissa Kitab-e-umr Ka Kya MuKHtasar Hua for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Qissa Kitab-e-umr Ka Kya MuKHtasar Hua in PDF.