Salamat Rahen Dil Mein Ghar Karne Wale

salamat rahen dil mein ghar karne wale

is ujDe makan mein basar karne wale

gale par chhuri kyun nahin pher dete

asiron ko be-baal-o-par karne wale

andhere ujale kahin to milenge

watan se hamein dar-ba-dar karne wale

gareban mein munh Dal kar KHud to dekhen

burai pe meri nazar karne wale

is aaina-KHane mein kya sar uThate

haqiqat par apni nazar karne wale

bahaar-e-do-roza se dil kya bahalta

KHabar kar chuke the KHabar karne wale

khaDe hain do-rahe pe dair o haram ke

teri justuju mein safar karne wale

sar-e-sham gul ho gai sham-e-baalin

salamat hain ab tak sahar karne wale

kuja sehn-e-alam kuja kunj-e-marqad

basar kar rahe hain basar karne wale

'yagana' wahi fateh-e-lakhknau hain

dil-e-sang-o-ahan mein ghar karne wale

(1359) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Salamat Rahen Dil Mein Ghar Karne Wale In English By Famous Poet Yagana Changezi. Salamat Rahen Dil Mein Ghar Karne Wale is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Salamat Rahen Dil Mein Ghar Karne Wale for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Salamat Rahen Dil Mein Ghar Karne Wale in PDF.